सोमवार, 10 जुलाई 2017

مسلک اعلیٰ حضرت کہنے والوں پر آخر اعتراض کیوں؟

MASLAK E ALAHAZRAT KEHNE WALO PAR AITRAAZ AAKHIR KYUN?
__________________________________________
Maslak Ka Lughvi M'ana Rasta Ka Hai, Maslak Qaida Aur Dastoor Ke Ma'ne Mein Bhi Aata Hai,Toh Maslak-e-A'alahazrat Ke Ma'ne huye, A'alahazrat ka Raasta Yaa Raah-e-A'alahazrat Yaa Quaaida-e-A'alahazrat Yaa Tareeqa-e-A'alahazrat

Lihaaza Mazkoorah Ma'no mein se Kisi Bhi Ma'ne Mein Se Kisi Bhi Ma'ne Ke A'itabar se MASLAK-E-A'ALAHAZART Kehne Mein Koi Shar'ee Mumani'at Yaa Qabahat Nahi, Aur Uske Mana'a Par Qat'an Koi Shar'ee Daleel Mowjood Nahi,Mahez itna keh dena ke MASLAK-E-A'ALAHAZRAT Naye Istilaah hai Balke Maslak-e-Imam-e-A'zam Abu-Haneefah Aur Maslak-e-Imam-e-Shafa'ee Wa Maslak-e-Imam-e-Hambal Wa Maslak-e-Imam-e-Malik Kaha Jata Hai Iss Liye Maslak-e-A'alahazrat Kehna Saheeh Nahi Yeh Koi Mumani'at Ki Shar'ee Daleel Nahi,

Jis Daleel se Maslak-e-Imam-e-A'zam Abu-Haneefah Kehna Jayez Hai, Ussi Daleel Se Maslak-e-A'alahazrat Kehna Bhi Jayez Hai,

Agar Koi Kahe Ke Maslak-e-A'alahazrat Maslak-e-Imam-e-A'azam se Badh Kar Hai?? Maslak-e-A'alahazrat Ke Bajaye Maslak-e-Imam-e-A'zam hi Kiyon Na Kaha Jaye???

To Iska Jawab Yeh hai Ke Iss Qisim Ke Aitaraz Pehle Deobandi Ya Wahabi Ghair-Muqallid Yaa Dusare Firqaha-e-Baatila Kiya KarteThe, Unka Dekha Dekhi Ab Baaz Nadaan Sunni Bhi Karne Lage Hain,To Fir Yeh Aitaraaz Bhi Qayem Hoga Ke Maslak-e-Imam-e-Azam Yaa Maslak-e-Imam-e-Shafa'ee Kiyon Kehte ho?? Kiya Maslak-e-Siddiq-e-Akbar Yaa Maslak-e-Farooq-e-Aazam Kaafi Nahi?'? Kia Maslak-e-Imam-e-Azam Yaa Maslak-e-Hanfi Maslak-e-Siddique-e-Akbar Ya Maslak-e-Farooq-e-Aazam Se Badh Kar Hai?'?

Behrhaal Iss Wahmi Wa Khiyaali Daleel Mein Kuch wazan Nahi, Na Maslak-e-Imam-e-Aazam Maslak-e-Siddique-e-Akbar Se Juda Wa Alaahida Hai, Naa Maslak-e-Aalahazrat Maslak-e-Imam-e-Azam se Juda Hai To Phir Woh Mo'atariz hote Hain Ke Phir Maslak-e-Imam-e-Aazam Abu Haneefah hi Kiyon Na Kaha Jaye? To Hum Arz Kareinge Ke Iss Dour Mein Deobandi Bhi Hanfi Kehlate hain,Tableeghi Wahabi etc Bhi Hanfi Kehlate Hain, Aksar Moududvi bhi Hanfi Kehlate Hain, Hatta Ke Qadyani bhi Hanfi Kehlate hain, Nadwi Nechari bhi Hanfi Kehlate hain, Khuda Jane Kitni Naslon ke Bad-Mazhab bhi Hanafi Kehlate Hain, Sayudna Aalahazrat Mujaddid-e-Deen-O-Millat Radi Allahu Anhu Ne Farmaya "Sunni Hanfi Aur Chishti Ban ban ke Behkate yeh Hain"

Saabit Hua Be-Shumar Bad-MazhabWa Batil Friqon Ne Hanfiyat Ko Bator-e-Jaal Aur Daam-e-Tazvir Ke Istemal Kiya Hai, Lihaza Haqeeqi Sunniyat Aur Asli Hanfiyat Ka Khusoos -O- Imtiyaz Barqarar Rakhne Ke Liye Musallam-O-Motamad Akabir Ahlesunnat Wa A'aazim Mashaaikh-e-Tareeqat Ne Maslak-e-Aalahazrat Ka Istemal Shuru Kiya, Aur Ab Yeh Khalis Sunniyat Asli Hanfiyat Ka Alamati Nishan Ban Gaya , Aur Iss Istilaah-e-Maslak-e-Aalahazrat Ki Ifaadiyat Wa Ahmiyat Apni Jagah Musallam hai, werna Har Bad-Mazhab Wa Har Bad-Aqeeda Wa Masnoo'ee (Naqli) Banaspati Hanfi Khud Ko Hanfi Banakar Imam-O-Khateeb Aur Hamare Madarson Mein Musarris Wa Shaikh-Ul-Hadees Ban Jayega, Aise Nazuk Dour Mein Jab ke "Aankh se Kajal Saaf Chura Lein Yaa'n Wo Chor Bala ke hain" Ka Taqaza hua ke Mehez Kisi Ke Sunni Aur Hanfi Kehlane Ka Aitabarna Karein, Ab Maslak-e-Aalahazrat Ki Sanad Chalegi Uska
Sunni Hanfi Hone Ke Sath Bareilvi Maslak Ke Hamil Hone Ke Baare Mein Poochha Jyayega, Agar Koi Makkari Ayyari Se Khud Ko Hanfi Sunni Kehlata hai to Uski Masnoo'ee (naqli) Sunniyat HanfiyatKo Nanga Wa Be-Naqab Karne Ke Liye Maslake-Aalahazrat Yaa Bareilvi Maslak Ki Sanad Kaam Degi.....

اصطلاح، مسلک اعلیٰ حضرت اور بریلوی شرعاً جائز و درست ہیں
___________________________________________
سواد اعظم اہل سنت و جماعت(پاک و ہند) کے بیشتر علماء و عوام اپنی تحریر و تقریر اور گفتگو کے وقت کبھی اہلسنت و جماعت اور کبھی مسلک اعلیٰ حضرت اور کبھی بریلوی کی اصطلاح کا استعمال کرتے ہیں، بلاشبہ یہ اصطلاحیں شرعاً جائز و درست ہیں، مذہب اہلسنت و جماعت سارے عالم اسلام کی اصطلاح عام ہے جب کہ مسلک اعلیٰ حضرت اور بریلوی پاکستان، ہندوستان، بنگلہ دیش،نیپال، کے لوگوں کی اصلاح خاص ہے اور کوئی لفظ کسی اصطلاحی حیثیت سے جہاں بھی رائج ہو جائے تو اس سے کوئی فرق نہیں پڑتا کہ اس اصطلاح کا موجد کون ہے اور کب کس طرح اس کا آغاز ہوا؟
اس اصطلاح کا وہی معنیٰ ان سارے مقامات و موقع پر مراد لیا جائے گا جہاں تک اس کا دائرہ اور اس کا رواج ہے، اصطلاح مسلک اعلیٰ حضرت اور بریلوی کا اس زمانے میں ایک خاص فائدہ یہ ہے کہ اس کے ذریعے وہابیہ، و دیابنہ سے اہلسنت و جماعت کا امتیاز ہو جاتا ہے، اگر جلسہ و جلوس میں اصطلاحات مذہب اہل سنت و جماعت، مسلک اعلیٰ حضرت اور بریلوی کا استعمال کیا جائے اور حسبِ ضرورت و افادیت ان کا نعرہ لگایا جائے، اسی طرح ایسا کوئی بورڈ اور بینر آویزاں کیا جائے تو بلاشبہ یہ عمل شرعاً جائز و درست ہیں

شارح بخاری مفتی شریف الحق امجدی علیہ الرحمہ فرماتے ہیں :
مذہب اہلسنت و جماعت کا دوسرا نام مسلک اعلیٰ حضرت ہے اس زمانے میں اہلسنت کو تمام فرقہائے باطلہ سے ممتاز کرنے کے لئے سوائے مسلک اعلیٰ حضرت کے کوئی لفظ موزوں ہوتا ہی نہیں، کچھ معاندین اس کے بالمقابل مسلک امام اعظم بولتے ہیں لیکن یہ لفظ امتیاز کے لئے کافی نہیں، غیر مقلدین کو چھوڑ کر سارے وہابی اپنے آپ کو حنفی کہتے ہیں، مثلاً دیوبندی، مودودی، نیچری، حتی کہ قادیانی اپنے کو مسلک امام اعظم پر گامزن بتاتے ہیں، اور یہی حال اہلسنت و جماعت کے لفظ کا بھی ہے کہ ان میں کے بہت سے لوگ اپنے آپ کو سنی بتاتے ہیں،
اس تفصیل کی روشنی میں مینے (شریف الحق امجدی) نے بہت غور کیا، سوائے مسلک اعلیٰ حضرت کے کوئی لفظ ایسا نہیں جو صحیح العقیدہ سنی مسلمانوں کو تمام بدمذہبوں سے ممتاز کر دے اب تک میں اس موڈ(ارادہ) میں نہیں کہ یہ کہنے کی جرآت کروں کہ مضمون نگار صاحب زید مجدہم کو اس سے چڑھ(جلن حسد) ہے کہ اہلسنت و جماعت کو بدمذہبوں سے ممتاز کرنے کی کوشش کیوں کی جارہی ہے(ماہنامہ اشرفیہ، اپریل 1999ء)

1 टिप्पणी:

کیا اعلیٰ حضرت اور اشرف علی تھانوں نے ایک ساتھ تعلیم حاصل کی؟

 کچھ انتشار پسند حضرات بغیر تحقیق کے بڑے زور و شور سے یہ پروپیگنڈہ پھیلاتے نہیں تھکتے کہ بریلویوں کے اعلیٰ حضرت اور اشرف علی تھانوی صاحب نے ...